Click Here to save more on coupon deal while shopping only on coupondealshopping
Click Here to save more on coupon deal while shopping only on coupondealshopping

Fun118


( A tribute to all Software Engineers !!! )



Apne Project ke bojh tale dabaa ja raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Zindagi se hara hua hai,

Par "Bugs" se haar nahi manta,

Apne application ki ek ek line isne rati hui hai,

Par aaj kaun se rang ke moje pehne hain, ye nahi jaanta,


Din par din ek excel sheet banata ja raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Dus hazar line ke code me error dhoond lete hain lekin,

Majboor dost ki aankhon ki nami dikhayi nahi deti,

PC pe hazaar windows khuli hain,

Par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,


Satuday-Sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Coding karte karte pata hi nahi chala,

Bugs ki priority kab maa-baap se high ho gayi,

Kitabon me gulab rakhne wala , cigarette ke dhuen me kho gaya,

Dil ki zameen se armaano ki vidayi ho gayi,


Weekends pe daroo peke jo jashn mana raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Maze lena ho iske to poochh lo,

"Salary Increment" ki party kab de rahe ho,

Hansi udana ho to pooch lo,

"Onsite" kab ja rahe ho?


Wo dekho onsite se laute team-mate ki chocolates kha raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Kharche bad rahe hain,

Baal kam ho rahe hain,

KRA ki date ati nahi,

Income Tax ke sitam ho rahe hain,


Lo phir se bus chhoot gayi, Auto se aa raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Pizza gale se nahi utarta,

To "Coke" ke sahare nigal liya jata hai,

Office ki "Thaali" dekh muh banata hai,

Maa ke haath ka khana use roz yaad aata hai,


"Sprout Bhel" bani hai phir bhi, Free "Evening Snacks" kha raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,


Aapne ab tak li hongi bahut si chutikiyan,

Software engineer ke jivan ka sach batati ye aakhri kuch panktiyan,


Hazaron ki tankhwah wala, Company ki karodon ki jeb bharta hai,

Software engineer wahi ban sakta hai, Jo lohe ka jigar rakhta hai,


Hum log jee jee ke marte hain , Zindagi hai kuch aisi,

Ek fauj ki naukri, doosri software engineer ki ,

Dono ek jaisi,


Is kavita ka har shabd mere dil ki gehrayi se aa raha hai,

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai.

No comments: