Click Here to save more on coupon deal while shopping only on coupondealshopping
Click Here to save more on coupon deal while shopping only on coupondealshopping

Friend6

Direct Dil Se..............
College days are back again...

 



Raah dekhi thi is din ki kabse
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se

bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko

par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai

jin baton ko lekar rote the
aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai

kaha kart tha ..badi mushkil se chaar saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya

kahi ankahi hazaaron batein reh gayi
na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi

meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega

jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega

KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega
kaun mere naye naye naam banayega

mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga

kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega


aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein

mere gaano se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga

kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai

movies mein kiske saath dekhhonga
kis ke saath boring lectures jheloonga

mere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega

stage par ab kis ke saath jaoonga
juniors ko faltoo ke lectures kaise sunaonga

achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga keh do doston ye dobaara sab hoga

doston ke liye professor se kab lad payenge kya hum ye fir kar payenge

raat ko 2 baje poha khane kaun jayega
tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega

kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega

meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga

meri ye kavita kaun padega
kaun ise sach mein samjhega

bahut kuch likhna abhi baaki hai
kuch saath shayad baaki hai

bas ek baat se dar lagta hai doston
hum anjnabi na ban jayein doston

zindagi ke rangon mein dosti kar rang feeka na pad jaye kahin
aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jayye

zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna agar
na mil sakein to kam se kam yaad karte rehna

chahe jitna hanslo aaj mujh par
mein bura nahi manooga
is hansi ko apne dil mein basa loonga
aur jab yaad aayegi tumhari
yahi hansi lekar thoda muskura loonga

 

 

No comments: