skip to main |
skip to sidebar
Tut te pal me hasna sikh liya
Gehre Gham me muskurana sikh liya
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi
Jab GHAM ke pyale ko hi pina sikh liya
Logo par bharosa kam karna sikh liya hai maine
Dosto se umeede kam rakhna sikh liya hai maine
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi
Jab Apne aap se jo Dosti ki hai
Usme hi khush rehna sikh liya hai maine
Ab kisiko na dundna sikh liya hai maine
Ab kisiko na chahna sikh liya hai maine
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi
jab kisi ki yaado me na rona
bikul bhi na rona sikha liya hai hai maine
Sikhte Sikhte ache logo ko pehchan na sikha hai maine
Sikhte Sikhte muskil me majje karna bhi sikh liya hai maine
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi
Kyunki ki Shayad
Zindagi jeena sikh liya hai maine
No comments:
Post a Comment